Pakistan Online News, Education and Entertainment forum. Pak Book
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.
Gallery


Sarfaroshi ki Tamanna Empty
Latest topics
»  The White-Black Color Match
Sarfaroshi ki Tamanna EmptyMon Jun 16, 2014 11:11 am by cocosoup1102

» Windows 7 Themes New Collection (Icons Gadgets) [September Update Link]
Sarfaroshi ki Tamanna EmptySun Jun 08, 2014 12:26 pm by drewal

» Pagal Wot.com
Sarfaroshi ki Tamanna EmptySun Jun 08, 2014 10:46 am by drewal

» Nutrimind 2012 Torrent
Sarfaroshi ki Tamanna EmptySat Jun 07, 2014 11:01 am by drewal

» RarLab WinRAR V3.90 Cracked-EAT
Sarfaroshi ki Tamanna EmptyFri Jun 06, 2014 8:58 am by drewal

» Topaz ReMask V3.1.0 Incl Keymaker-CORE
Sarfaroshi ki Tamanna EmptyFri May 30, 2014 3:17 pm by drewal

» Painkiller Redemption Repack [tfile.ru]
Sarfaroshi ki Tamanna EmptyFri May 30, 2014 9:36 am by drewal

» Pretty Database Explorer 1.4.0.123 - Connect To Various Databases
Sarfaroshi ki Tamanna EmptyThu May 29, 2014 10:25 pm by drewal

» Topaz ReMask V3.1.0 Incl Keymaker-CORE
Sarfaroshi ki Tamanna EmptyThu May 29, 2014 9:16 pm by drewal

» 3D PageFlip For PowerPoint V1.0.0 Portable{worldend}{h33t}
Sarfaroshi ki Tamanna EmptyTue May 27, 2014 2:14 pm by drewal

Search
 
 

Display results as :
 


Rechercher Advanced Search

Social bookmarking

Social bookmarking reddit      

Bookmark and Share

Bookmark and share the address of Pakistan Online News, Education and Entertainment forum. Pak Book on your social bookmarking website

RSS feeds


Yahoo! 
MSN 
AOL 
Netvibes 
Bloglines 



Sarfaroshi ki Tamanna

Go down

Sarfaroshi ki Tamanna Empty Sarfaroshi ki Tamanna

Post  faisaliqbal Tue May 05, 2009 3:09 pm

Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai
Dekhna hai zor kitna bazu-e-qatil mein hai

Aye watan Karta nahin kyun dosra kuch baat-cheet
Dekhta hoon main jisay woh chup teri mehfil mein hai

Aye shaheed-e-mulk-o-millat main tere oopar nisar
Ab teri himmat ka charcha ghair ki mehfil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai

Waqt aanay dey bata denge tujhe aye aasman
Hum abhi se kya batayen kya hamare dil mein hai

Khainch kar layi hai sab ko qatal hone ki ummeed
Aashiqon ka aaj jumghat koocha-e-qatil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai

Hai liye hathiyar dushman taak mein baitha udhar
Aur hum taiyyar hain sina liye apna idhar
Khoon se khelenge holi gar vatan muskhil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai

Hath jin mein ho junoon kat-tay nahi talvar se
Sar jo uth jatay hain wo jhuktay nahi lalkar se
Aur bhadkega jo shola-sa humare dil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai

Hum to ghar se nikle hi the bandhker sar pe kafan
Jaan hatheli per liye lo badh chalay hain ye qadam
Zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai

Yoon khada maqtal mein qatil keh raha hai bar bar
Kya tamanna-e-shahadat bhi kisi ke dil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai

Dil mein tufanoon ki toli aur nasoon mein inqilab
Hosh dushman kay uda denge humein roko na aaj
Door reh paye jo humse dam kahaan manzil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai

Wo jism bhi kya jism hai jismein na ho khon-e-junoon
Tofanoon se kya lade jo kashti-e-sahil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai.
Dekhna hai zor kitna bazuay qatil mein hai.

Intekhab Faisal Iqbal (Bismil Azimabadi)
faisaliqbal
faisaliqbal

Posts : 20
Points : 48
Join date : 2009-05-05
Age : 42
Location : Karachi

Members info
Say 3 word for Pakistan.:

http://www.7rangi.com

Back to top Go down

Back to top


 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum